Sabaq Amoz Story | Urdu Emotional Story | Short Urdu Story with Moral |

Download Sabaq Amoz Story in Urdu 

Khawatein kay ik mahroof sarkari college mein English ka period tha kay ik taliba zor zor say rooney laghi, teacher nay parna parahna chot kar bhagam bhag is kay pas ponchi aur bati narmi say pocha kay bat kiya hai beti kiyn ro ri ho,is nay siskiyan lay kar jawab dia mere fees kay paisey chori hogy hain

Download Sabaq Amoz Novel in Urdu 

Meine beg mein rakhy thy kisi nay nikal liye hain, teacher nay ik larki ko eshara karty huey kaha kamray kay darwazy band kardo koi bahir nah jaye sab ki talashi hogi,teacher nay samney ki teen ro say talibaat ki talashi khud li aur phir in ko pori class ki talibat ki talashi ki hadiyat kar di.


kuch dair baad do larkiyon ki takraar say achanak class ik bar phir shor say ghonj othi, teacher apni kursi say othtay huey boli, kiya bat hai? miss, talashi laney wali taliba boli kosir apny beg ki talashi nahi laney dy ri, teacher wahan hi dhadk sy boli paisey phir isi ny churaye hoon gy

Download Sabaq Amoz Kahani in Urdu 


kosi tarap kar bolo, nahi nahi miss mein chor nahi hoon. chor nahi ho to phir beg ki talashi laney do, nahi kosir boli aur apna beg ko sakhti say apny seenay say laga liya, nahi mein talashi nahi doon gyi


Teacher agay bari is nay kosi say beg chenanay ki kosis ki lakin kamayb nhi ho saki asy gussa aya aur teacher nay kosir kay mou par thapar mara wo zor zor say roney laghi, teacher nay phir agay bari ik bar phir taliba ko marney kay liye hath hi othaya tha kay ik bar ajab awaz ghonji, ruk jao

Teacher nay peachy mur kar dekha to wo principle thi nah jany kab kisi nay inko khabar kar di thi, inno ny taliba aur teacher ko apny daftar any ki hadayat ki aur wapis loot gyi, principle nay poucha kiya mamla hai teacher nay sara qissa sunaya, unno ny taliba say bari narmi say pocha kiya tumne paisey churaye hain, taliba nay nafi mein sar halaya 

Kosir ki ankhon mein ansu bar aye thy, principle ny kaha bilfarz maan b liya jaye paisey tumne nahi churaye to talibat apni apni talashi dy ri thi tumne kiyn nhi di, kosir khamoshi nay medam ko takney laghi is ki ankhon mein moty moty ansu nikal kar chehray par pail gaye teacher nay kuch kehna chaha 

Download Sabaq Amoz Story in Urdu 

To principle nay hath otha kar ruk dia, principle ka dil taliba ko chor manany pr amada na tha phir is nay talashi daney ki bajaye tamasha banana kiyn gawara samja, is mein kiya raaz hai wo sochney lagi phir is ny kuch soch kar teacher ko class mein say jany ka keh dia.

Principle nay bari mohabbat say kosir ko apny samney wali nasist par bethaya aur phir pocha is nay khamoshi say apna beg medam ko dy diya, jab medam ny dekha to books kay sath ik kaly rang ka shapar beg bi bahir nikal aya, medam nay jab shopar khola to is mein half khaye burger, samosay aur pizzay kay thokray aur khaney ka kuch saman tha, medam ko sara mamla samj a geya.

Wo kanptay wajood kay sath othi rooti hui kosir ko galay lagay khud b roney laghi, kosir nay batay mera koi bara bhai nahi hai, digar teen bhen bhai is say choty hain walid shab retirement kay baad bemaar rehney lagy thy ghar mein aur koi kafeel nahi hai pension say koi guzara nahi hota bhook say majboor ik din raat ka faqa tha nasty mein kuch na tha college any laghi to bhook aur niqait say chalna muskil hogeya, mein ik tikka kabab ki dukan kay agay say guzri to kachray mein kuch nan kay tokray aur ada khana ik chicken pees para dekha to otha liya aur qareebi nal say paani ki bottle pi kar khud ka shukar ada kiya.

Phir kai martaba asa huwa ik din dukan mein bethi pait khali tha dukan ka malak aya is nay mujy nana aur kabab kay tokron othaye dekh liya wo pehlay pershan huwa phir is sari baat is kay samj mein a gyi wo ik naik hamdard insan tha meine isy ghar kay halat sach sach batye isy boht tars aya ab wo mery ghar kabhi kabhi khana b behj deta hai ghakon ka bacha huwa khana b shopar mein dal deta hai jo ik shopar mein rakh deta jo mein college aty huey otha kar beg mein rakh leti hoon meryy ami abu ko is bat ka ilam hai aur bhen bhaiyon ko is barey mein ilam nahi wo ik dosray say cheen kar kha jaty hain.


Download Sabaq Amoz Story in Urdu 

Moral:khudara apny as pas asey sawaid pooss logon ka khiyal rakhein, Allah apki izzat ka khiyal rakhy ga ajkal carona virus ki wajse apny as pas dekhy koi sakhs bhooka nah soye, kisi bhooky ko khana khilana sab say bara sadka hai aur sadka har balla ko taal deta hai, kosis karein kisi ik zaorart mand ko ik hafty ka rashan is tarh ponchein kay iski izzat nafs b majrooh nah ho, jazzakallah, agar post pasand i ho to coment lazmi karein aur baqi posts ko b read karein. Allah hafiz

 اگلی کہانی پڑھیں

Post a Comment

5 Comments

  1. بہت عمدہ قصہ ہے۔ 👌

    ReplyDelete
  2. ان سب طرح کی تحریر پڑھنے سے روح لرز اٹھتی کہ آج بھی ہمارے ارد گرد ایسے لوگ موجود ہیں اور ہم فخریہ کہتے کہ یہ ان کے اعمالکی وجہ سے ہے.
    جب کہ یہ ہمارے اعمال کے امتحانات کا لاظمی حصصہ ہے

    ReplyDelete
  3. Sir agr ma apki stories par youtube pr video upload kardo tu koye issue tu nahe

    ReplyDelete
  4. اللہ تعالیٰ ہم سب کو اِس پر عمل کرنے کی توفیق عطا فرمائے

    ReplyDelete
  5. Kahani Bahat achi Hy lekin sawal ye Hy jis k paise chori hue us gareeb ka Kia hua?

    ReplyDelete