Emotional Urdu Story of Mother | Best Moral Story in Urdu 2021


Yeh hamesha puraney zamaney mein zinda rehti hain, inein lagta hai inko aulaad duniya ki masoom tareen aulad hai, inko lagta hai inka bacha bacha hi rahey ga duniya ki chalakiyon sy nawaqaf rahey ga, yeh duniya ka har maslay ka hal duaon ko qarar deti hain, aur khairat tor pr inki duein rang b lay ati hain, inki aksariyat mobile phone use karna nahi janti


Bari Bari batein nahi samjti, dalail say bat nahi kar sakti, facebook kay barey mein nahi janti,twitter say anjan hai,simple zindagi guzarti hai, kisi bhi bat ko sachi samj leti hai,bari jaldi ghabra jati hai,choti choti baton par sam jati hai,larai say ghabrati hai hum mein say shahid kisi ko pata nah ho kay hamari maa konsa khana shauq say khati hai,iski pasand kya hai, hum.yeh bhi nahi janty kay maa ko kis rang ka suit pasand hai, pasandida dish kon c hai


Aap nay kabhi ama ko kisi chez kay liye lichaty huey nahi dekha hoga, hum mein say aksariyat ka talaq ghareeb khandon say hai, yaad kaijiye apny bachpan kay wo din jab ap pait bar kar khana khaty thy aur maa hamesha handi pounj pounj kar pait barti thi, hum say kitny logon ko yad hai kay inki maa ko jab be waqt bhook lagti hai to wo kya khati hai, kiya ap ny is purani maa ko pizza ya burger kay liye michalty dekha hai, isy jo bi dy diya jaye to wo khushi sy kha leti hai, yeh sakht bemar b ho to isy bachon ki fikar khaye jati hai


Yeh doctor kay pas jaye khud hi teek hojati hai yeh itni simple hoti hai kay isy apny jahaiz ki chezein b yeh soch kar paiti mein rakh feti hai kay beti kay kam aen gyi l, humein aesa hi lagta hai jesy hamari maa bas shuru sy aesy thi, nahi maan b kabhi nojawan thi iski ki b kuch khuswein thi lakin maa banty hi sarey shauq dafan kiye aur sirf aulad ki hokar reh gai,
Allah pak sabki maa ko sehat tandurusti kay sath salamt rakhy aur jin ki maa is duniya say chali gayi hain Allah unko jannat mein jhaga atta farmaye.Ameen!




Post a Comment

0 Comments