Famous Best Urdu Ghazal | Trending 2 Lines Sad Poetry Ghazal in Urdu Text | Urdu poets Sad Ghazal - Usamashayari

Famous Best Urdu Ghazal | Trending 2 Lines Sad Poetry Ghazal in Urdu Text | Urdu poets Sad Ghazal - Usamashayari

Assalamualaikum is post ma ap k liye kuch new ly kr aya hun yeh urdu adab ki kuch famous ghazal hain jo kay k apko pics aur poetry dono mein mil jaen gyi aur ap inko copy kr k post b kr skty hain social media pr aur inko whatsapp, Instagram, Facebook lr story b laga skty hain

Yeh Famous Urdu poets ki lines hain jo kay dil ko cho jati hain agr ap ka dil tota ha to yeh lines ap ko boht pasand any wali hain kiyn kay in lines mein payar mohabbat aur us k bad mei hony wali bewafai ka zikr hai.

Umeed ha apko yeh best urdu ghazal with text Pasand aen gyi last ma comment ka option mily ga ap ny wahan batana ha kay yeh ghazal poetry apko kesi lagi hai aur agy kisi shayar ki ghazal ya poetry ko design kr k ap tak poncha jaye.Shukria

Miyan Muhammad bakhash Poetry

Sada na baaghi bulbul bole
Sada na baagh bahaaran
Sada na qaaem Hasan jawaani
Sada na sohbat yaaraan
Baba Bulleh Shah Ghazal

Kuch bughz di reet wich nahin milda
Kuch haar te jeet wich nahin milda
Makhlooq Khuda naal pyaar te kar
Rab sirf masiyat wich nahin milda
Parveen Shakir Poetry

Mere paas se jo guzra, mera haal tak na poocha
Main kaise maan jaaun ke woh door jaake roya?

Ahmed Faraz Poetry

Tere paas se jo guzre to junoon mein thay Faraz
Jab door jaake socha to zaar zaar roye

Mohammad Allama Iqbal Poetry

Waaz Qaum ki woh pukhta khayali nah rahi
Barq tabai nah rahi, shola maqli nah rahi rah gayi Rasm-e-azaan, rooh Balaali nah rahi
Falsafa rah gaya, talqeen Ghazali nah rahi
Masajidain marsiya khaan hain ke namaazi nah rahe
Yani woh sahib-e-usaaf Hijazi nah rahe
Wasi Shah Shayari

Ek janazay ki khaatir saara jahan nikla
Ek woh nah nikla jis ki khaatir janaza nikla

Parveen Shakir Poetry

Ae sanam mein kaise aati tere janazay ke peeche
Mera apna hi janaza tha tere janazay ke peeche
Punjabi Ghazal Shayari

Isi nazuk dil de log hain,
Sada dil nah yaar dikhaya kar

Nah jhootay wadde kitaa kar,
Nah jhootiyaan qasman khaya kar

Tinon kani vaari mein akhiyan ae,
mainu wall wall nah az maya kar

Teri yaad de wich mein mar ja saa
mainu aina yaad nah aya kar
Delkash hain mere yaar tere naam ke maani
Phir ek nahi chaar tere naam ke maani

Un parh ko bhi ho jaye gi Urdu se mohabbat,
Batla doon agar un ko tere naam ke maani
Tumhare baad bara farq aa gaya hai hum mein
Tumhare baad kisi par khafa nahin hoye hum

Taluqat mein shartain kabhi nahin rakhi,
Kabhi kisi ke liye masla nahin hoye hum
Bade kathin hain sabhi raaste mohabbat ke
Ke jaan lewa hain, yeh hadse mohabbat ke

Abhi to thoda sa kata hai yeh safar hum ne,
Kahaan gaye hain tere walwale mohabbat ke

Wahan wahan hi mili hain udasiyan hum ko,
Jahan jahan se mille tabse mohabbat ke

Hamein hi raas nahin aayi hai, mohabbat yeh
Kisi se kya karein shikwe gale mohabbat ke
Woh chaah kar bhi izhaar nah kar paate
Khud ko khud hi mein qaid kar lete

Azadi ki tamanna mein waqt ganwa baithte,
Bas yunhi khali haath hi reh jaate
Saath mere betha tha par
qareeb kisi aur ke tha

Woh apna sa lagnay wala shakhs
naseeb kisi aur ka tha

Un ki sohbat mein gaye, sanbhlay, dobara tootay
Hum kisi shakhs ko de ke sahara tootay

Yeh ajab rasam hai, bilkul nah samjhi
Main pyar bhi hum hi karein, dil bhi humara tootay
Is naal yaari kadi na laye
Jis nu apne te ghuroor hove
Maa baap nu bura kadi na rakhiye
Chahay likh unan da qasoor hove
Rah chalde nu dil nah dewe
Chahay likh chehre te noor hove
Bhale Shah, mohabbataan sirf othe paye
Jithe pyar nibhaun da dastoor hove
Aasan nahin tha tujh se judai ka faisla
Par mustaqil wasal ki wehshat ajeeb thi

Milne ki arzoo, nah bichhadne ka kuch malal
Hum ko is aadmi se mohabbat ajeeb thi
Answar Masood Poetry 

Kahani aage badhne lagti hai to
Darr lagta hai kahani khatam ho jayegi

Jaun Elia Poetry

Bohat nazdeek hote ja rahe ho
Bichhadne ka irada kya hai?

Mohsin Naqvi Poetry

Mere haathon ki lakiron mein yeh aib hai Mohsin
Main jis shakhs ko choo loon, woh mera nahin rehta

Kya faida kisi ki khatir duniya se rooth jaane se
Yahan kisi ko farq nahin padta kisi ke toot jaane se

Jeena hai to hans kar jeena seekh lo ae dost!
Yahan milti nahin roshni apna dil jalane se
Mirza Ghalib Poetry

Kabhi raaste badal gaye, kabhi irade badal gaye
Hum nah badle magar tere waade badal gaye

Mohabbat ke andhere mein patthar pagal gaye
Ghayron se kya gila jab apne badal gaye
Ahmed Faraz Shayari

Ranjish hi sahi, dil hi dikhane ke liye aa
AA phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Mirza Ghalib Shayari

Zalim tha woh aur zalim ki adat bhi bohat thi
Majboor the hum us se mohabbat bhi bohat thi

Jaun Elia Shayari

Mujh ko adat hai rooth jaane ki
Aap mujh ko mana lejiye

Jaleel Mank Puri Poetry

Aap pehlu mein jo bethain to sanbhal kar bethain
Dil betaab ko adat hai machal jaane ki

Gulzaar Poetry

Waqt raha nahin kahin tik kar
Adat us ki bhi aadmi si hai
Zia Jalandari Poetry

Ishq mein bhi koi anjaam hota hai
Ishq mein yaad hai aaghaz hi aaghaz mujhe

Abbas Tabish Poetry

Masroof hain kuch itne ke hum kaar-e-mohabbat
Aaghaz to kar lete hain jaari nahin rakhte

Shahjahan Puri Poetry

Aaghaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak guzra hai
Jo kuch hum par tum ne bhi suna hoga

Jigar Murad Abadi Poetry

Aaghaz-e-mohabbat ka anjaam bas itna hai
Jab dil mein tamanna thi ab dil hi tamanna hai

Kya karoge ab mere paas aakar
Kho diya tumne mujhe baar baar aazma kar
Bola tha tumhein mat jao yun tanha
Chhod kar kya mila tumhein mera dil dikha kar
Tum to kehte the tum sa koi nahi
Phir kyun mujhe chhoda jhooti umeed laga kar
Zindagi guzar rahi hai guzar hi jaati hai lekin
Tum kaise khush rah paoge mujhe rula kar
Ab mujh par haq na jatana tum
Tere hisse ka mar chuka hoon main

Mirza Ghalib

Yeh bhi ek rasam duniya hai Ghalib
Pehle badal jana uske baad bichhad jana

Ahmad Faraz
Is se kehna meri saza mein kuch kami kar de
Adi mujrim nahi hoon ghalti se ishq hua tha

Bichhad gaye to yeh dil umar bhar lage ga nahi
Lage ga lagnay laga hai magar lage ga nahi
Nahi lage ga use dekh kar magar khush hai
Main khush nahi hoon magar dekh kar lage ga nahi
Humare dil ko abhi mustaqil pata na bana
Hamein pata hai tera dil idhar lage ga nahi
Bohat tawajju talluq bigaad deti hai
Ziyada darne lagein ge to dar lage ga nahi

Thanks For Reading....

Post a Comment

1 Comments